Asaan Storage Jugaad:- Shote ghar me saman rakhne ki jagehg kmm pad jaata ek bahut hi aam baat hai. lekin thodi si samajdaari aapki saari mushkilein asaan kr deti hain. aap biuna paise kharach kiye thode se efforts kr ke apne ghar ki storage ko badaa sakte hain. hmm aapke ke liye laaye hain 9 aise jugaad jo har ghar mein apnaye jaa sakte hain. aayie jante hai.

1. Puraane Jute Ke Dibbon Ko Bnaaye Draaz
Ghar mei pade juton ke khaali dibbe fenkne ki bajaye unhe draaz ke ander baant ke rakh dein. isse ghar ki shoti shoti chijjein ek bahut hi badiya tarike se rakh saktein hai. jinhe dhundne mei bhi asaani ho. or samey barbaad nhi hota.

2. Darwaaze ke piche laagyein jutaa raik
Kamre ya rasoi ke darwaaze ke piuche ki jageh hamesha khaali padi rehti hai. wahaan ek shoe organizer lagakr aap masaale ki dibbe, safai ka saman, ya bachon ke khilaune rakh saktein hain. ye jageh bachane ka ek asaan tarika hai.

3. Soda Ki Bottle Se Bnaaye Masala ya anaaz container
Cold Drink ki khaali plasatic bottle ko aadha kaat kr ya uper se shed bnaa kr aap inme chawal, daal chini ya namak store kr sakte hai.ye transparent hone ka karan andar rakhaa saman bhi saaf dikhta hai.

4. Bed Ki Niche Ki Jageh Ka Sahi Istemaal Krein
Bed ki niche jageh aksar bekaar padi rehti hai. wahaan puraane suitcase, plastic box ya kapde ke under bed bag rakh kr aap mausmi kapdse razai gadde ya extra chaadrein store kr saktein hain.

5. Diwaar prr Lagaein Megnatic strip
Rasoi mein chaaku, kainchi ya steel ke shote bartan rakhne ke liye diwaar pr ek magnetic strip lgaa dein. isse draaz mein jageh bhi bachti hai. or jaroorat ka saman bhi hath ke paas rakha rehta hai.

6. Ande Ki Trey Se Kre Shoti Chijjo Ki Setting
Puraani ando ki trey ko dhokar sukhaa lein or usme button, pin ya sacroo jaise shooti chijje rakhein. ye draaz ke ander rakhne ke liye ek behtreen idea hai.

7. Kapde Dhone Ki Tokri Ki Jageh Satecable basket apnaaye
Ek badi tokri ki jageh do teen shoti scetable basket rakhen or usme gande kapdo ka rang ya type ke hisaab se alag kre. is se dhulai ka kaam bhi asaan ho jata hai. jageh bhi kmm lagti hai.
Conclusion:-
upar bataye gaye sabhi jugaad ko apnakar aap apne ghar ki storage ki samaseya se kaafi hadd tak shutkara paa saktein hai. is se aapka paise or samey dono bachaa sakte hain. agar aapke paas bhi kopi jugaad tips ho to wo aap hame email ke jariye btaa sakte hai , or tips jaan ne ke liye hamari website visit krein.
Read More On Our Website:- https://gharkejugaad.in