Diwali Par Ghar Ko Sajane ke 7 Asaan Jugaad ( Diwali Decoration In Hindi )

Diwali Decoration In Hindi:- Diwali aane se pehle hi har ghar mei ek alag hi halchal shuru ho jaati hai. hare kisi ko apna ghar sajane ki jaldi hoti hai. hmm chahte hai ke hamara ghar diwali ke mauke pe sabse sundar dikhayi de. ham kitni baar paison ki wajah se apna ghar diwali pe khoobsurat banane ka sapna adhoora reh jata hai. is samaseya ka hall hmm lekar aayein hai. i n jugaad tips ki madad se aap apne ghar ko kmm paison se sajaa sakte hain. aayie jaante hai:-

Diwali par ghar ko kaise sajayein, Diwali decoration in hindi

1. Ghar Ki Safai Ki Shuruaat sahi Tarike Se Karein

Poore ghar ki safai ek din mei krne ki koshish krna sabse badi bewakoofi hai, is se hmm jaldi thak jaate hain. jis kaaran hame jyada bojh jhelna padta hai. behtar hai ke diwaali se 10 – 121 din pehle hi ghar ki thodi thodi safai shuru kr de is se aap pr koi setress nhi hoga.

Asaan Plan:-

diwali safai checklist jpg

2. Rasoi Ki Chiknayi Hatane Ka Jugaad

Diwali aane se pehle rasoi saaf krna jaroori hai. gas ke karan is ke aas paas kaafi chiknayi tiles or chimni prr jmm jaati hai jo asaani se saaf nhi hoti hai. iske liye:-

Gharelu Tarika:-

  1. ek katori mei 2 chamach baking soda lein.
  2. usme nimbu ka rass or thoda bartan dhone wala liqiued miklaayein.
  3. paste ko chiknayi wali jageh lagakar 10 15 minute ke liye shod dein
  4. fir puraane bruh se saaf kr lei
diwaart ko kaise saaf krein

3. Shishe Or Khidkiyon Ko Chamkaane Ka Asaan Tarika

shishe or khidkiyan aksar kapde se saaf nhi hoti hain. shiishe or khidkiyon ke daag saaf krne liye pehle ek spray bottle mein aadha paani or adha safed sirka bhar lei. shishe prr spray kre or akhbaar ke tukde se saaf krein. akhbaar se shishon prr chamak achi aati hai.

4. Pital Or Taanbe Ke Bartan , Pooja Ka Saman Chamkayein

Diwali parr laxmi poojan ke liye pital ke diye, ghanti or thaali nikaali jaati hai jo aksar kaali pad jaati hai.

iske liye jugaad:-

Nimbu ko adha kaat kar us par namak ya imli ka goodha lagaye. ise pital ya taanbe par ragde. kuch der sukhne ke baad ise kapde se saaf kr lein. aise krne se bartan fir se naye jaisa ho jayega .

5. Diyon Ko Sajane Ka Asaan Jugaad

Diwali ke dauraan ghar ko sajane ke liye sabse jaroori item Diye Hote hain. inko sajane ke diyon ko bachon ko diye color krne ke liye bolen. yeh unke liye achi gatividhi ho sakti hai. ssadhe diyon ko kuch der paani mei bhigo lein.

6. Puraani Chijjon Se Sajawat Karne Ka Jugaad ( Best Out Of Waste)

har ghar me kuch na kuch aisi chije padi hoti hai jise hame koi jarorat nahi hoti lekin onhi waste chije se ham ghar ko bahut hi badhiya tarike se saja sakte hai jaise ke :-

kaanch ki puraani bottle:- un par rang birange dhaage lapet kr diwaar ki sajawat ke liye use kr sakte hain.

Khaali Jar:- unme t-light rakhe to ve bahut sundar dikhte hai.

7. Rangoli Banane Ka Asaan Jugaad

Agar aapko rangoli bnaani nahi aati to ghabraane ki jaroorat nhi hai hmm aap ko kuch asaan tarike batayenge:-

Foolon Ki Rangoli:- Gendhe, gulaab or baaki foolon ke patton se kaafi sundar or design daar rangoli ban jaati hai.

Rangeen Chawal:- Chawal me thoda rang milaa kr sukhaa lein. ye jugaad rtangooli ke liye kaafi usefull hai.

Rangoli Se pehle:- jameen pr pehle halka kapda fer lein taake rang ashe se jame.

Conclusion:-

aap in shote shote tarike ko azmaa kr apne ghar ko kaafi had tak kam paiso se sajaa sakte hai. agar aapke paas bhi koi tarkeeb hai jugaad ke releted to hame jaroor batayein.

Read More On Our Website:- gharkejugaad.in

Q1. Diwali ki safai kab se shuru krni chahiye?

Agar aap bina kisi pareshaani ke diwaali ki safai karna chahte ho to aap 10-12 di pehle se safai shuru kr sakte hain.

Q2. Kam Budget mein ghar kaise sajayein?

Puraani bottle, jaar, chudiyaan, duppate, taaze falon ka istemaal krke aap apne ghar ko ashe tarike se sajaa sakte hain.

Leave a Comment

Apne Ghar Ko Behtar Bnane Ke Liye Abhi Visit Krein Gharkejugaad.in Home Hacks ke liye hamari website visit krein. Ghar Ke Liye Asaan Storage Jugaad Sardion ke Mausam Ke Liye Desi Jugaad. Diwali Aane Se Pehle Istemaal Kre Ye Hack