Sardion ke Mausam Ke Liye 7 Desi Jugaad | Ghar Ko Bna Denge Aramdayak

Sardion ke Mausam Ke Liye 7 Desi Jugaad:- Sardion ka mausam aate hi sabse badi chinta hoti hai ghar ko aramdayak or garam bnaaye rakhne ki. heater jaisi cheejon ke bijli bill jeb parr bhaari padtein hai. to kyun na hmm kuch aisa krein jo asardaar bhi ho or paise bhi bach jaayein. aayie jaante hai kuch aise jugaad jo aapke bahut kaam aa sakte hai.

सर्दी के मौसम में घर को गर्म रखने के जुगाड़, Sardion ke Mausam Ke Liye 7 Desi Jugaad

1.Darwazo Or Khidkion Ki Draarein Band Karein.

Thandi hawa sabse jyada darwazo or khidkion ki draaron se ander aati hai. Purane kapde ya toliye ko mod krr drwaaze ke niche rakh dein. chaahe to newspaper ka rol bnaa krr bhi rakh sakte hain. is se thandi hawa andar nhi aayegi.

दरवाजे की दरार बंद करने का जुगाड़

2. Bhari Pardon Ka Istemaal Karein.

Patle pardon ki jagah bhaari or mote kapde ke parde lagayein. shaam hote hi prde bnd krdein taaki din bhar ki garmi kamre ke andar bni rahe . subeh dhoop nikalte hi parde khol de taaki garmi andar aa sake.

सर्दी में गर्मी बचाने के लिए भारी पर्दे

3. Garam Paani Ki Bottle Ka Jugaad

bijli se chalne waale electric blanket ki jagah garam paani ki bottle ka istemaal krein. ise kapde se lapet kr pairo ke paas ya bister parr rakhein. ye sasta bhi hai.

4. Rasoi Ka Istemaal Ghar Garam Karne Ke Liye Krein

Khana bnaane ke baad tandoor ya owen ka darwaza thodi der takk khoola rakhein. is se nikakne waali bachi hui garmi poori rasoi ko garm krr deti hai or aas paas ke kamre bhi garam rehte hai.

5. Farsh Parr Dari Ya Kaleen Bichaayein

Tiles ya cement ka farsh sardion mei bahut thanda hota hai. farsh prr oti dari ya kaleeen bichaa dein. is se pairon ko thand nhi lgegi. or kamre ka taapmaan bhi behtar rahega.

सर्दी में फर्श गर्म रखने का घरेलू तरीका

6. Sone Se Pehle Bister Garam Krein

Sone se 10-15 minute pehle garam paani ki bottle ya iron ki garmi bister mei daal krr use pre-heat kre. dhyaan rahe ke bister se hatane ke baad hi usme soyein.

7. Puraane Sweter Ki Jagah Kushan Cover Bnaayein

Puraane unni swetar ya shawl ko fenkne ki bjaaye unse kushan cover ya foot rag bnaa lei. ye dekhne mei bhi kaafi sun der lagta hai.

Conclusion:-

Sardion ke mausam me yeh jaroori nhi ke hame mehngi chijein hi thand se bchaa sakti hai. upar diye gye ye tarike istemaal kr ke aap apne paise or sama dono ki bachat kr saktein hai. agar aapke paas bhi koi jugaad tips hai to use hamare saath share kre.

Read More On Our Website:- https://gharkejugaad.in

Leave a Comment

Apne Ghar Ko Behtar Bnane Ke Liye Abhi Visit Krein Gharkejugaad.in Home Hacks ke liye hamari website visit krein. Ghar Ke Liye Asaan Storage Jugaad Sardion ke Mausam Ke Liye Desi Jugaad. Diwali Aane Se Pehle Istemaal Kre Ye Hack