Introduction: Har Ghar ki rassoi mei roz koi na koi aisi dikkat aati hai jiska hal hme pta nhi hota. Sabji jaldi khraab ho jana, Bartano prr jiddi daag, Ya fridge me space kmm hona, Ye samasseyaein lagbhag har ghar mei hoti hai.Aaj hum aapke liye laaye hai Aise 10 Asaan or Asardaar Rasoi Jugaad, Jinhe apnakar aap apna samey, Paisa or mehnat teeno bachaa sakte hain. Rasoi Ke 10 Asaan Jugaad Tips
1.Hari sabbjion ko hafto takk taza rakhein
Palak ya pudina jaldi murjhaa jaatein hain. inhe pepar towel me lapetkar ek airtight dibbe mei fridge mei rakhe. Pepar towel nami sokh leta hai, Jisme sabbjiyaan 10-15 din tak hari-bhari bni rehti hai.
2. Nimbu ko barf ki trey mei jmaakar rakhein,
nimbu ka rass nikalkar ice trey mei jmaa lein. Jab bhi jaroorat ho, Ek qube nikalkar istemal kre. iss se baar-baar nimbu khridne ki jaroorat nhi padegi.
3. Jale Huye Bartan Ko minto Mein Chamkaayein
Jale huye bartan mei thoda paani dalkar us me baking soda shidkein, or ubaal le. 10 minutes baad scrub krein, jiddi daag asaani se nikal jaeinge.
4. Pyaaz Kaat te Samey Aansu Rokein
Pyaaz ko kaatne se pehle 15 minute fridge mei rakhein, Thanda pyaaz kamm gas shodta hai, Jis se aankhon mei jalan nhi hoti.
5. Roti Mulaayeim Rakhne Ka Jugaad
Rotiyon ko kaisroll mei rakhne se pehle ek saaf sooti kapde mei lapeto is se rotiyaan ghanto tak mulaayeim bani rehti hai.
6. Fridge Ki jagah Doguni Kro
Soda ki botlon ke dhakkan kaat kr unka istemaal fridge mei shelf devider ki tarah kro, Yaa vertical stand bna kr bartan khate rakhein, is se jagah bahut bach jaayei gi.
7. Masaalon Ke Dibbon Ko Jaldi Pehchaanein
Masale ke dibbe ke dhakan prr sticker ya marker se naam likh dein, is se jaldi mei masala dhundhne mei samey nhi lagega.
8. Aalo Ko Jaldi Kharab Hone Se Bachayein
Aalo ke sath ek apple rakhne se aalo lambe samey takk kharab nhi hota or jaldi ankurit bhi nahi hota.
9. Chipchipe Haathon Se Jar KHolna Asaan Bnaayein
Jar ka dhakkan na khul rhaa ho to us prr rubbre band lapet de , Is se pakad majboot hoti hai or dhakkan asaani se khul jata hai.
10. Bache Huye Oil Ko Dubara Istemal layek Bnaayein
Pakode talne ke baad oil ko chaankar, Thoda sa bread ka tukda usme daalo, yeh bachi huyi mehak or jale kano ko sokh leta hai ,
Conclusion
Yeh shote shote rasoi jugaad aapke roz-marra ki jindgi ko asaan bna sakte hai, naa yeh sirf sama bachaatein hain, balke paisa or mehnat ki bachat krte hai, agar aappke paas bhi koi khaas rasoi jugaad hai to niche comment mei jaroor share kro.
